yeh shabdoan ka saagar hai, yeh sur ka sangam hai, rachna ki pahchaan yahi, yeh jeevan ka aangan hai. Meri kavita need mai upji' chingari ka jeevan hai, nadee samandar mai milti, aisa gahra apnapan hai, mai khoju din raat use' mere andar jo chaaya hai, sabdo ki anubhuti mai, phir usko maine paaya hai. Dr. BHARTI
गुरुवार, 9 मई 2013
kavita
Aapse seekha hai hamne,dard kee hifaazat karna
Dard kee hifazat karnaa,,aansuo ki ibaadat karna,
Karna har us zakhm kaa eitbaar,
Jo bhole bachpane kaa shagal thaa.
Yaadon kee eetoo pe makaa apne ,शऊर kaa.
Apne garoor o apne shuroor kaa.
Pighate ahsaas gar choo pade zami pe,
Kaise rahenge tere garoor pe,
Jeene kaa shagal hamko bhi banane do,
Ki kameengi kee had tak hamko bhi jaane do.
Mudke dekh na paayenge, haan ,itbaar hai,
raahoo ki baarikeeya abhi zinda hai.
Aane ko tufaa hai aur ham khush hai
Ki kadam ke nishaa ret mai dah jaayenge.
Dard ke kaarwaa kee mujhe chinta nahi
Par raah ke nishaan nahi dikh paayenge.
aur ,ki ham bhool jaaye raasta,
khushboo mai hawaao kee phir mil jaayenge.
Dhoondne ko teri maujoodgi kaa ahsaas.
Kitni rukhsat kare ,par ham udhar hi aayenge.
Amrita...
yeh dilli hai..
Dard ke baashinda,ban
gayaa mera shahar hai.
Bholi goriya ab gungunaati nahi,
Maa bhi kahi aati jaati nahi
,raat kee basti dino kaa shagal hai,
Kyaa yehi mera shar hai.
Chidiyo ke bhor ko kyaa ho gaya hai,
Bapu ka aagan kahaa kho gayaa hai,
Unchi imaarat mera dost ho gayaa hai,
Aansuo kee aawaz ab rulati nahi,
Dard kaa baashinda ban gayaa mera shahar hai
Dard kaa bashinda ban gayaa mera shahar hai.
mera shahar
Gungunaate lafz mera shahar ban jaaye to,
Har ek nazar mai mera shahar bas jaaye to.
Bholi hasi mai baalko kee,
Khoyee khushi mai meriii maa kee,
Aawargi mai ek sanam kee,
Deewangi mai shahar_e karam kee,
Khankhanaayegi phir hansi,
Aansuo mai bholi see khushi,
Laado kee aankho se zhaankanagi sharat
Laadle kee khushi mai goonjtii rasme ibaadat,
Mera shahar kyuu wafaoo mai garib hai,
mera shahar kyoo hayaoo mai ajeeb hai.
Mil jaane do ek saberaa,
Kar na paaye koi andheraa,
Gungunaate..........
Amrita
सदस्यता लें
संदेश (Atom)