yeh shabdoan ka saagar hai, yeh sur ka sangam hai, rachna ki pahchaan yahi, yeh jeevan ka aangan hai. Meri kavita need mai upji' chingari ka jeevan hai, nadee samandar mai milti, aisa gahra apnapan hai, mai khoju din raat use' mere andar jo chaaya hai, sabdo ki anubhuti mai, phir usko maine paaya hai. Dr. BHARTI
गुरुवार, 9 मई 2013
yeh dilli hai..
Dard ke baashinda,ban
gayaa mera shahar hai.
Bholi goriya ab gungunaati nahi,
Maa bhi kahi aati jaati nahi
,raat kee basti dino kaa shagal hai,
Kyaa yehi mera shar hai.
Chidiyo ke bhor ko kyaa ho gaya hai,
Bapu ka aagan kahaa kho gayaa hai,
Unchi imaarat mera dost ho gayaa hai,
Aansuo kee aawaz ab rulati nahi,
Dard kaa baashinda ban gayaa mera shahar hai
Dard kaa bashinda ban gayaa mera shahar hai.
सदस्यता लें
टिप्पणियाँ भेजें (Atom)
कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें