yeh shabdoan ka saagar hai, yeh sur ka sangam hai, rachna ki pahchaan yahi, yeh jeevan ka aangan hai. Meri kavita need mai upji' chingari ka jeevan hai, nadee samandar mai milti, aisa gahra apnapan hai, mai khoju din raat use' mere andar jo chaaya hai, sabdo ki anubhuti mai, phir usko maine paaya hai. Dr. BHARTI
गुरुवार, 9 मई 2013
mera shahar
Gungunaate lafz mera shahar ban jaaye to,
Har ek nazar mai mera shahar bas jaaye to.
Bholi hasi mai baalko kee,
Khoyee khushi mai meriii maa kee,
Aawargi mai ek sanam kee,
Deewangi mai shahar_e karam kee,
Khankhanaayegi phir hansi,
Aansuo mai bholi see khushi,
Laado kee aankho se zhaankanagi sharat
Laadle kee khushi mai goonjtii rasme ibaadat,
Mera shahar kyuu wafaoo mai garib hai,
mera shahar kyoo hayaoo mai ajeeb hai.
Mil jaane do ek saberaa,
Kar na paaye koi andheraa,
Gungunaate..........
Amrita
सदस्यता लें
टिप्पणियाँ भेजें (Atom)
कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें